koi deewana kehta hai,
koi pagal samajhta hai
magar dharti ki bechaini ko bas badal samajhta hai
tu mujhse duur kaisi hai, main tujhse duur kaisa hoon
ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai.............................
Mohabbat ek ehsaason ki paawan si kahani hai
kabhi kabira deewana tha kabhi meera deewani hai
yahaan sab log kehte hain meri aankhon me aansooon hai
jo tu samjhe to moti hain jo na samjhe to pani hain..........................
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment